tilism-e-halqa-e-sayyaargaan mein kya rahna | तिलिस्म-ए-हल्क़ा-ए-सय्यारगाँ में क्या रहना

  - Qamar Raza Shahzad

tilism-e-halqa-e-sayyaargaan mein kya rahna
kisi ki saltanat-e-be-amaan mein kya rahna

alag jalaya hai apna charaagh is khaatir
tamaam-umr saf-e-dostaan mein kya rahna

na-jaane cheen le kab ham se shah ka kirdaar
fareb-e-umr tiri dastaan mein kya rahna

ye waqt lamha-e-maujood ka tasalsul hai
malaal-e-khwahish-e-aaindagaan mein kya rahna

agar vo khurram-o-aabaad hai to phir shehzaad
hamein bhi ab kisi kaar-e-ziyaan mein kya rahna

तिलिस्म-ए-हल्क़ा-ए-सय्यारगाँ में क्या रहना
किसी की सल्तनत-ए-बे-अमाँ में क्या रहना

अलग जलाया है अपना चराग़ इस ख़ातिर
तमाम-उम्र सफ़-ए-दोस्ताँ में क्या रहना

न-जाने छीन ले कब हम से शाह का किरदार
फ़रेब-ए-उम्र तिरी दास्ताँ में क्या रहना

ये वक़्त लम्हा-ए-मौजूद का तसलसुल है
मलाल-ए-ख़्वाहिश-ए-आइंदगाँ में क्या रहना

अगर वो ख़ुर्रम-ओ-आबाद है तो फिर 'शहज़ाद'
हमें भी अब किसी कार-ए-ज़ियाँ में क्या रहना

  - Qamar Raza Shahzad

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari