ajeeb dukh hai labon par gila koi bhi na tha
bichhadte waqt kisi se khafa koi bhi na tha
har ek shakhs ko sacche huroof azbar the
kisi ke paas magar mo'jiza koi bhi na tha
b-naam-e-husn sabhi guftugoo kamaal ki thi
ye aur baat sar-e-aaina koi bhi na tha
azaab-e-zehan thi ik mehr aab-o-daane par
tire nagar mein khushi se raha koi bhi na tha
pas-e-zameer adaalat sabhi ko haasil thi
magar b-waqt-e-zaroorat khara koi bhi na tha
अजीब दुख है लबों पर गिला कोई भी न था
बिछड़ते वक़्त किसी से ख़फ़ा कोई भी न था
हर एक शख़्स को सच्चे हुरूफ़ अज़बर थे
किसी के पास मगर मो'जिज़ा कोई भी न था
ब-नाम-ए-हुस्न सभी गुफ़्तुगू कमाल की थी
ये और बात सर-ए-आइना कोई भी न था
अज़ाब-ए-ज़ेहन थी इक मेहर आब-ओ-दाने पर
तिरे नगर में ख़ुशी से रहा कोई भी न था
पस-ए-ज़मीर अदालत सभी को हासिल थी
मगर ब-वक़्त-ए-ज़रूरत खरा कोई भी न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Baaten Shayari Shayari