agar majboor haft-aflaak hota
hamaari tarah tu bhi khaak hota
zameen tareek rahti aur suraj
hamaare jism ki poshaak hota
kahi is dastaan aur khwaab ke beech
tira malboos gul bhi chaak hota
ham apna faaeda bhi soch lete
agar nuksaan ka idraak hota
zara mausam badalta aur phir to
hamaare hijr mein namnaak hota
अगर मजबूर हफ़्त-अफ़्लाक होता
हमारी तरह तू भी ख़ाक होता
ज़मीं तारीक रहती और सूरज
हमारे जिस्म की पोशाक होता
कहीं इस दास्ताँ और ख़्वाब के बीच
तिरा मल्बूस गुल भी चाक होता
हम अपना फ़ाएदा भी सोच लेते
अगर नुक़सान का इदराक होता
ज़रा मौसम बदलता और फिर तो
हमारे हिज्र में नमनाक होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Mausam Shayari Shayari