main ne bhi tohmat-e-takfeer uthaai hui hai
ek neki mere hisse mein bhi aayi hui hai
mere kaandhon pe dhara hai koi haara hua ishq
yahi gathari hai jo muddat se uthaai hui hai
tum to aaye ho abhi dast-e-mohabbat ki taraf
main ne ye khaak bahut pehle udaai hui hai
toot jaaunga agar mujh ko banaya bhi gaya
koi shay aisi meri jaan mein samaai hui hai
sard-mehri ke ilaaqe mein hoon masroof-e-dua
zinda rahne ke liye aag jalai hui hai
qissa-go ab tiri chaupaal se main jaata hoon
raat bhi bheeg chuki neend bhi aayi hui hai
मैं ने भी तोहमत-ए-तकफ़ीर उठाई हुई है
एक नेकी मिरे हिस्से में भी आई हुई है
मिरे काँधों पे धरा है कोई हारा हुआ इश्क़
यही गठड़ी है जो मुद्दत से उठाई हुई है
तुम तो आए हो अभी दश्त-ए-मोहब्बत की तरफ़
मैं ने ये ख़ाक बहुत पहले उड़ाई हुई है
टूट जाऊँगा अगर मुझ को बनाया भी गया
कोई शय ऐसी मिरी जाँ में समाई हुई है
सर्द-मेहरी के इलाक़े में हूँ मसरूफ़-ए-दुआ
ज़िंदा रहने के लिए आग जलाई हुई है
क़िस्सा-गो अब तिरी चौपाल से मैं जाता हूँ
रात भी भीग चुकी नींद भी आई हुई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Love Shayari Shayari