jahaan hote kisi chashm-e-sitaara-yaab mein hote | जहाँ होते किसी चश्म-ए-सितारा-याब में होते

  - Qamar Raza Shahzad

jahaan hote kisi chashm-e-sitaara-yaab mein hote
ham aise log har lahza hisaar-e-aab mein hote

to phir ham par bhi khulta husn tere aariz-o-lab ka
agar kuchh aur chehre bhi hamaare khwaab mein hote

ye mitti paanv mein zanjeer ki soorat hai warna ham
zameen ko chhod kar ik khitaa-e-shaadaab mein hote

samundar ko bifarte dekh kar ye jee mein aata hai
kabhi ham bhi muqayyad sho'la-e-mehtaab mein hote

hamein bhi kya zaroori tha ta'alluq duniya-daaron se
agar ham aap apne halka-e-ahbaab mein hote

जहाँ होते किसी चश्म-ए-सितारा-याब में होते
हम ऐसे लोग हर लहज़ा हिसार-ए-आब में होते

तो फिर हम पर भी खुलता हुस्न तेरे आरिज़-ओ-लब का
अगर कुछ और चेहरे भी हमारे ख़्वाब में होते

ये मिट्टी पाँव में ज़ंजीर की सूरत है वर्ना हम
ज़मीं को छोड़ कर इक ख़ित्ता-ए-शादाब में होते

समुंदर को बिफरते देख कर ये जी में आता है
कभी हम भी मुक़य्यद शो'ला-ए-महताब में होते

हमें भी क्या ज़रूरी था तअ'ल्लुक़ दुनिया-दारों से
अगर हम आप अपने हल्क़ा-ए-अहबाब में होते

  - Qamar Raza Shahzad

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari