ana ka nashsha khudi ka khumaar tootaa hai
mohabbaton mein khud apna hisaar tootaa hai
koi to hai jo dar-e-khema-e-mohabbat par
jabeen jhukaaye b-sad iftikhaar tootaa hai
ajeeb nashsha-e-ehsaas ki girift mein hoon
tire qareeb jo aaun khumaar tootaa hai
main us lahu mein se hoon jis ka ek ik qatra
faseel-e-zulm pe deewana-waar tootaa hai
अना का नश्शा ख़ुदी का ख़ुमार टूटता है
मोहब्बतों में ख़ुद अपना हिसार टूटता है
कोई तो है जो दर-ए-खेमा-ए-मुहब्बत पर
जबीं झुकाए ब-सद इफ़्तिख़ार टूटता है
अजीब नश्शा-ए-एहसास की गिरफ़्त में हूँ
तिरे क़रीब जो आऊँ ख़ुमार टूटता है
मैं उस लहू में से हूँ जिस का एक इक क़तरा
फ़सील-ए-ज़ुल्म पे दीवाना-वार टूटता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari