na apne-aap ko is tarah dar-b-dar rakhte | न अपने-आप को इस तरह दर-ब-दर रखते

  - Qamar Raza Shahzad

na apne-aap ko is tarah dar-b-dar rakhte
palat ke aate agar ham bhi koi ghar rakhte

ajeeb vahshat-e-shab thi ki shaam dhalti hi
tamaam log munderon par apne sar rakhte

jo apni fath ke nashshe mein choor the vo bhala
sulagte shehar ke manzar pe kya nazar rakhte

ye aur baat ki sarsabz the bahut lekin
ham aise ped na ban paaye jo samar rakhte

jinhen hawa ki rifaqat aziz thi shehzaad
vo apne paanv bhala kya zameen par rakhte

न अपने-आप को इस तरह दर-ब-दर रखते
पलट के आते अगर हम भी कोई घर रखते

अजीब वहशत-ए-शब थी कि शाम ढलते ही
तमाम लोग मुंडेरों पर अपने सर रखते

जो अपनी फ़त्ह के नश्शे में चूर थे वो भला
सुलगते शहर के मंज़र पे क्या नज़र रखते

ये और बात कि सरसब्ज़ थे बहुत लेकिन
हम ऐसे पेड़ न बन पाए जो समर रखते

जिन्हें हवा की रिफ़ाक़त अज़ीज़ थी 'शहज़ाद'
वो अपने पाँव भला क्या ज़मीन पर रखते

  - Qamar Raza Shahzad

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari