lahu mein dooba hua pairhan chamakta hai | लहू में डूबा हुआ पैरहन चमकता है

  - Qamar Raza Shahzad

lahu mein dooba hua pairhan chamakta hai
sulagti ret par ik gul-badan chamakta hai

sitaare bujhte chale ja rahe hain khemo'n mein
bas ik charaagh sar-e-anjuman chamakta hai

zaif chun to raha hai jawaan laashon ko
magar nigaah mein ik baankpan chamakta hai

ye kaise phool jhade sheer-khaar honton se
ki jin ke noor se saara chaman chamakta hai

ye kaun maah-e-munavvar aseer hai shehzaad
ye kis ka halqa-e-tauq-o-rasan chamakta hai

लहू में डूबा हुआ पैरहन चमकता है
सुलगती रेत पर इक गुल-बदन चमकता है

सितारे बुझते चले जा रहे हैं ख़ेमों में
बस इक चराग़ सर-ए-अंजुमन चमकता है

ज़ईफ़ चुन तो रहा है जवान लाशों को
मगर निगाह में इक बाँकपन चमकता है

ये कैसे फूल झड़े शीर-ख़ार होंटों से
कि जिन के नूर से सारा चमन चमकता है

ये कौन माह-ए-मुनव्वर असीर है 'शहज़ाद'
ये किस का हल्क़ा-ए-तौक़-ओ-रसन चमकता है

  - Qamar Raza Shahzad

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari