lab-e-fasurda ko saaghar talash karta hai | लब-ए-फ़सुर्दा को साग़र तलाश करता है

  - Qamar Siwani

lab-e-fasurda ko saaghar talash karta hai
shikasta naav ko langar talash karta hai

vo kaun shakhs tha jo dasht-e-zulmat-e-gham mein
masarraton ka samundar talash karta hai

zaroor chhedega haq ki ladai kaaghaz par
qalam khayal ka lashkar talash karta hai

safar jo karta hai himmat ki rahnumaai mein
qadam qadam pe vo thokar talash karta hai

ghazal ke jism pe bazaar-e-fan ka saudaagar
takhayyulaat ka zewar talash karta hai

jo chaand maan luun us ko to maan luun kaise
jo khud charaagh-e-munavvar talash karta hai

qamar ko shaam-o-sehar hai talaash-e-fikr-o-nazar
jo jauhri hai vo gauhar talash karta hai

लब-ए-फ़सुर्दा को साग़र तलाश करता है
शिकस्ता नाव को लंगर तलाश करता है

वो कौन शख़्स था जो दश्त-ए-ज़ुल्मत-ए-ग़म में
मसर्रतों का समुंदर तलाश करता है

ज़रूर छेड़ेगा हक़ की लड़ाई काग़ज़ पर
क़लम ख़याल का लश्कर तलाश करता है

सफ़र जो करता है हिम्मत की रहनुमाई में
क़दम क़दम पे वो ठोकर तलाश करता है

ग़ज़ल के जिस्म पे बाज़ार-ए-फ़न का सौदागर
तख़य्युलात का ज़ेवर तलाश करता है

जो चाँद मान लूँ उस को तो मान लूँ कैसे
जो ख़ुद चराग़-ए-मुनव्वर तलाश करता है

'क़मर' को शाम-ओ-सहर है तलाश-ए-फ़िक्र-ओ-नज़र
जो जौहरी है वो गौहर तलाश करता है

  - Qamar Siwani

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siwani

As you were reading Shayari by Qamar Siwani

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siwani

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari