khudi ke baagh ke phoolon ki taazgi hoon main
bahaar-e-husn-e-tamaddun ki dilkashi hoon main
zameer-e-zarf hoon tahzeeb-e-aazizi hoon main
mizaaj-e-sabr-o-tahammul ki saadgi hoon main
na chaand hoon na sitaara na chaandni hoon main
charaagh-e-azmat-e-ghairat ki raushni hoon main
sulagti dhoop ki khaatir hoon chaanv raahat ki
adab ki khushk zameen ke liye nami hoon main
khuloos waale ko pahchaanta nahin koi
nayi sadi ki nigaahon mein ajnabi hoon main
kisi ameer ka ehsaan liya na main ne kabhi
khudi ko naaz hai jis par vo aadmi hoon main
ameer-e-shahr se mera koi lagaav nahin
ghareeb-e-shehr se nisbat hai muflisi hoon main
wafa ke gehre samundar se mera rishta hai
qamar khuloos ki bahti hui nadi hoon main
ख़ुदी के बाग़ के फूलों की ताज़गी हूँ मैं
बहार-ए-हुस्न-ए-तमद्दुन की दिलकशी हूँ मैं
ज़मीर-ए-ज़र्फ़ हूँ तहज़ीब-ए-आजिज़ी हूँ मैं
मिज़ाज-ए-सब्र-ओ-तहम्मुल की सादगी हूँ मैं
न चाँद हूँ न सितारा न चाँदनी हूँ मैं
चराग़-ए-अज़्मत-ए-ग़ैरत की रौशनी हूँ मैं
सुलगती धूप की ख़ातिर हूँ छाँव राहत की
अदब की ख़ुश्क ज़मीं के लिए नमी हूँ मैं
ख़ुलूस वाले को पहचानता नहीं कोई
नई सदी की निगाहों में अजनबी हूँ मैं
किसी अमीर का एहसाँ लिया न मैं ने कभी
ख़ुदी को नाज़ है जिस पर वो आदमी हूँ मैं
अमीर-ए-शहर से मेरा कोई लगाव नहीं
ग़रीब-ए-शहर से निस्बत है मुफ़्लिसी हूँ मैं
वफ़ा के गहरे समुंदर से मेरा रिश्ता है
'क़मर' ख़ुलूस की बहती हुई नदी हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Siwani
our suggestion based on Qamar Siwani
As you were reading Samundar Shayari Shayari