zamaana deta hai jis ko vaqaar ki khushboo | ज़माना देता है जिस को वक़ार की ख़ुशबू

  - Qamar Siwani

zamaana deta hai jis ko vaqaar ki khushboo
tawaaf karti hai us ka bahaar ki khushboo

hamaare hisse mein aayi jo khaar ki khushboo
bahut hi khush thi chaman ki bahaar ki khushboo

khuloos-e-dil ke gulon ke nikhaar ki khushboo
wafa ke jism se aati hai pyaar ki khushboo

chubha hai us ki hatheli mein koi khaar zaroor
chaman mein cheekh rahi hai bahaar ki khushboo

zabaan pyaar ki khushboo ki main samajhta hoon
meri zabaan samjhti hai pyaar ki khushboo

suna rahi hai puraani sharaab ka qissa
dimaagh chaat rahi hai khumaar ki khushboo

tumhaare zahn mein khilte nahin khuloos ke phool
kahaan se doge mujhe e'tibaar ki khushboo

zabaan kaun mohabbat ki bolta hai yahan
pasand kis ko hai mere dayaar ki khushboo

safar ki saari thakaavat qamar main bhool gaya
pahunch ke ghar jo mili mujh ko pyaar ki khushboo

ज़माना देता है जिस को वक़ार की ख़ुशबू
तवाफ़ करती है उस का बहार की ख़ुशबू

हमारे हिस्से में आई जो ख़ार की ख़ुशबू
बहुत ही ख़ुश थी चमन की बहार की ख़ुशबू

ख़ुलूस-ए-दिल के गुलों के निखार की ख़ुशबू
वफ़ा के जिस्म से आती है प्यार की ख़ुशबू

चुभा है उस की हथेली में कोई ख़ार ज़रूर
चमन में चीख़ रही है बहार की ख़ुशबू

ज़बान प्यार की ख़ुशबू की मैं समझता हूँ
मिरी ज़बान समझती है प्यार की ख़ुशबू

सुना रही है पुरानी शराब का क़िस्सा
दिमाग़ चाट रही है ख़ुमार की ख़ुशबू

तुम्हारे ज़ह्न में खिलते नहीं ख़ुलूस के फूल
कहाँ से दोगे मुझे ए'तिबार की ख़ुशबू

ज़बान कौन मोहब्बत की बोलता है यहाँ
पसंद किस को है मेरे दयार की ख़ुशबू

सफ़र की सारी थकावट 'क़मर' मैं भूल गया
पहुँच के घर जो मिली मुझ को प्यार की ख़ुश्बू

  - Qamar Siwani

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siwani

As you were reading Shayari by Qamar Siwani

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siwani

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari