sab ne mujh se kiya hai kinaara
sirf tera hai yaarab sahaara
ashk-e-gham yoonhi bahte rahenge
ya rukega kabhi gham ka dhaara
meri kashti hai toofaan ki zad mein
mil gaya bahr-e-gham ka kinaara
zabt ki bhi koi intiha hai
main kahaan tak karoon gham gawara
soo-e-manzil badhi hoon main yaarab
teri rahmat ka le kar sahaara
kis tarah haal dil ka chhupaau
jo ho chehre se gham aashkaara
ham zamaane mein sab ke hain naashaad
aur koi nahin hai hamaara
सब ने मुझ से किया है किनारा
सिर्फ़ तेरा है यारब सहारा
अश्क-ए-ग़म यूँही बहते रहेंगे
या रुकेगा कभी ग़म का धारा
मेरी कश्ती है तूफ़ाँ की ज़द में
मिल गया बहर-ए-ग़म का किनारा
ज़ब्त की भी कोई इंतिहा है
मैं कहाँ तक करूँ ग़म गवारा
सू-ए-मंज़िल बढ़ी हूँ मैं यारब
तेरी रहमत का ले कर सहारा
किस तरह हाल दिल का छुपाऊँ
जो हो चेहरे से ग़म आश्कारा
हम ज़माने में सब के हैं 'नाशाद'
और कोई नहीं है हमारा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Raabia Sultana Nashad
As you were reading Sarhad Shayari Shayari