sozish-e-gham ka bayaan lab pe na laaun kyunkar | सोज़िश-ए-ग़म का बयाँ लब पे न लाऊँ क्यूँकर

  - Raabia Sultana Nashad

sozish-e-gham ka bayaan lab pe na laaun kyunkar
dard hai had se siva dil mein chhupaau kyunkar
tu yahin dost mere gham ka mudaava kar de
chot jo dil pe lagi hai vo dikhaaun kyunkar
kaise dohraaun gham-e-zeest ke afsaane ko
sunne waala na koi ho to sunaau kyunkar
raushni hoti nahin mere siyah-khaane mein
sham-e-dil ab shab-e-hijraan mein jalaaun kyunkar
silk-e-anjum hain tiri yaad mein aansu ab tak
tere daaman ko sitaaron se sajaun kyunkar
jab ke tinke ka sahaara bhi nahin hai naashaad
apni kashti ko talaatum se bachaaun kyunkar

सोज़िश-ए-ग़म का बयाँ लब पे न लाऊँ क्यूँकर
दर्द है हद से सिवा दिल में छुपाऊँ क्यूँकर
तू यहीं दोस्त मिरे ग़म का मुदावा कर दे
चोट जो दिल पे लगी है वो दिखाऊँ क्यूँकर
कैसे दोहराऊँ ग़म-ए-ज़ीस्त के अफ़्साने को
सुनने वाला न कोई हो तो सुनाऊँ क्यूँकर
रौशनी होती नहीं मेरे सियह-ख़ाने में
शम-ए-दिल अब शब-ए-हिज्राँ में जलाऊँ क्यूँकर
सिल्क-ए-अंजुम हैं तिरी याद में आँसू अब तक
तेरे दामन को सितारों से सजाऊँ क्यूँकर
जब के तिनके का सहारा भी नहीं है 'नाशाद'
अपनी कश्ती को तलातुम से बचाऊँ क्यूँकर

  - Raabia Sultana Nashad

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Raabia Sultana Nashad

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari