sookha sookha dariya ka dil hota hai
pyaas bujhaana kitna mushkil hota hai
jis ne ishq kiya mujh se sab ko toke
zeest nahin ye zaat mein shaamil hota hai
shaam hawa mein yaad tumhaari hoti hai
shaam ko seena bojhal bojhal hota hai
baarish tak baarish ko taale rakhta hoon
paani mein phir paani shaamil hota hai
us ne mujh ko bol diya pahchaana nahin
maazi se badh kar mustaqbil hota hai
mujh ko ik paagal ke hawaale kar jaao
khul kar hansne rone ka dil hota hai
vo mazhab jo bas khatre mein rehta hai
us mazhab se dar hi haasil hota hai
सूखा सूखा दरिया का दिल होता है
प्यास बुझाना कितना मुश्किल होता है
जिस ने इश्क़ किया मुझ से सब को टोके
ज़ीस्त नहीं ये ज़ात में शामिल होता है
शाम हवा में याद तुम्हारी होती है
शाम को सीना बोझल बोझल होता है
बारिश तक बारिश को टाले रखता हूँ
पानी में फिर पानी शामिल होता है
उस ने मुझ को बोल दिया पहचाना नहीं
माज़ी से बढ़ कर मुस्तक़बिल होता है
मुझ को इक पागल के हवाले कर जाओ
खुल कर हँसने रोने का दिल होता है
वो मज़हब जो बस ख़तरे में रहता है
उस मज़हब से डर ही हासिल होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raaz Dehalvi
our suggestion based on Raaz Dehalvi
As you were reading Shama Shayari Shayari