teri aankhon ke parastaar nazar aate hain
har taraf ishq ke beemaar nazar aate hain
tod jaate hain wahi log hamaara dil kyun
jo zamaane mein wafadar nazar aate hain
apni neki ka fasana main sunaau kisko
mujhko har samt gunahgaar nazar aate hain
kaam aate nahin kuchh log museebat ke samay
jo hai bekar vo bekar nazar aate hain
pehle sehra ke siva kuchh na nazar aata tha
aap aaye hain to gulzaar nazar aate hain
din to tanhaa hi guzarta hai magar raat mein ham
uski baanhon mein giraftaar nazar aate hain
khwaahish-e-wasl bhi rakhte hai judaai ke baad
dil ke aage sabhi laachaar nazar aate hain
usne chhodaa hai kisi aur kii khaatir mujhko
ab to marne ke hi aasaar nazar aate hain
qatl kar de na kahin chaahne waalon ka rachit
uske gesu mujhe talwaar nazar aate hain
तेरी आँखों के परस्तार नज़र आते हैं
हर तरफ़ इश्क़ के बीमार नज़र आते हैं
तोड़ जाते हैं वही लोग हमारा दिल क्यूँ
जो ज़माने में वफ़ादार नज़र आते हैं
अपनी नेकी का फ़साना मैं सुनाऊँ किसको
मुझको हर सम्त गुनहगार नज़र आते हैं
काम आते नहीं कुछ लोग मुसीबत के समय
जो है बेकार वो बेकार नज़र आते हैं
पहले सहरा के सिवा कुछ न नज़र आता था
आप आए हैं तो गुलज़ार नज़र आते हैं
दिन तो तन्हा ही गुज़रता है मगर रात में हम
उसकी बाँहों में गिरफ़्तार नज़र आते हैं
ख़्वाहिश-ए-वस्ल भी रखते है जुदाई के बाद
दिल के आगे सभी लाचार नज़र आते हैं
उसने छोड़ा है किसी और की ख़ातिर मुझको
अब तो मरने के ही आसार नज़र आते हैं
क़त्ल कर दे न कहीं चाहने वालों का 'रचित'
उसके गेसू मुझे तलवार नज़र आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rachit Sonkar
our suggestion based on Rachit Sonkar
As you were reading Valentine Shayari Shayari