varq varq tujhe tahreer karta rehta hoon
main zindagi tiri tashheer karta rehta hoon
bahut aziz hai mujh ko masaafton ki thakan
safar ko paanv ki zanjeer karta rehta hoon
musavviron ko hai zo'm-e-musavviri lekin
main apni zeest ko tasveer karta rehta hoon
main saunp deta hoon har raat apne khwaabon ko
har ek subh ko taabeer karta rehta hoon
sipar banata hoon lafzon ko sher mein lekin
qalam ko apne main shamsheer karta rehta hoon
hazaar aib khud apne hi naam mein likh kar
main teri raay hama-geer karta rehta hoon
vo meri fikr mein badle ka zahar gholta hai
magar main zahar ko ikseer karta rehta hoon
main shehar shehar bhatkata hoon aur rozaana
khud apni zaat ki taameer karta rehta hoon
likhe hain hisse mein mere raeis sannaate
nawa-e-waqt ki taskheer karta rehta hoon
वरक़ वरक़ तुझे तहरीर करता रहता हूँ
मैं ज़िंदगी तिरी तशहीर करता रहता हूँ
बहुत अज़ीज़ है मुझ को मसाफ़तों की थकन
सफ़र को पाँव की ज़ंजीर करता रहता हूँ
मुसव्विरों को है ज़ोम-ए-मुसव्विरी लेकिन
मैं अपनी ज़ीस्त को तस्वीर करता रहता हूँ
मैं सौंप देता हूँ हर रात अपने ख़्वाबों को
हर एक सुब्ह को ताबीर करता रहता हूँ
सिपर बनाता हूँ लफ़्ज़ों को शेर में लेकिन
क़लम को अपने मैं शमशीर करता रहता हूँ
हज़ार ऐब ख़ुद अपने ही नाम में लिख कर
मैं तेरी राय हमा-गीर करता रहता हूँ
वो मेरी फ़िक्र में बदले का ज़हर घोलता है
मगर मैं ज़हर को इक्सीर करता रहता हूँ
मैं शहर शहर भटकता हूँ और रोज़ाना
ख़ुद अपनी ज़ात की तामीर करता रहता हूँ
लिखे हैं हिस्से में मेरे 'रईस' सन्नाटे
नवा-ए-वक़्त की तस्ख़ीर करता रहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raeesuddin Raees
our suggestion based on Raeesuddin Raees
As you were reading Zindagi Shayari Shayari