b-juz mata-e-dil-e-lakht-lakht kuchh bhi nahin
meri nigaah mein tadbeer-o-bakht kuchh bhi nahin
guzarte waqt ki soorat hareef bhi na rahe
buri nigaah na lehje karkht kuchh bhi nahin
masaafton ki ghani dhoop mein hain tanhaa ham
hamaari raah mein saaye darakht kuchh bhi nahin
main naqsh-o-rang ki duniya luta ke aaya hoon
meri nigaah main ab taaj-o-takht kuchh bhi nahin
hamein raeis jo loote to koi kya loote
hamaare paas to ab saaz-o-rakht kuchh bhi nahin
ब-जुज़ मता-ए-दिल-ए-लख़्त-लख़्त कुछ भी नहीं
मिरी निगाह में तदबीर-ओ-बख़्त कुछ भी नहीं
गुज़रते वक़्त की सूरत हरीफ़ भी न रहे
बुरी निगाह न लहजे करख़्त कुछ भी नहीं
मसाफ़तों की घनी धूप में हैं तन्हा हम
हमारी राह में साए दरख़्त कुछ भी नहीं
मैं नक़्श-ओ-रंग की दुनिया लुटा के आया हूँ
मिरी निगाह मैं अब ताज-ओ-तख़्त कुछ भी नहीं
हमें 'रईस' जो लूटे तो कोई क्या लूटे
हमारे पास तो अब साज़-ओ-रख़्त कुछ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raeesuddin Raees
our suggestion based on Raeesuddin Raees
As you were reading Garmi Shayari Shayari