roz ik khwaab-e-musalsal aur main
raat bhar yaadon ka jungle aur main
haath koi bhi sahaare ko nahin
paanv ke neeche hai daldal aur main
sochta hoon shab guzaarun ab kahaan
ghar ka darwaaza muqaffal aur main
har qadam taariqiyaan hain ham-rikaab
ab koi jugnoo na mish'aal aur main
hai har ik pal khauf raksaan maut ka
chaar-soo hai shor-e-maqtl aur main
sher kehna ab raeis aasaan nahin
saamne ik chehra mohmal aur main
रोज़ इक ख़्वाब-ए-मुसलसल और मैं
रात भर यादों का जंगल और मैं
हाथ कोई भी सहारे को नहीं
पाँव के नीचे है दलदल और मैं
सोचता हूँ शब गुज़ारूँ अब कहाँ
घर का दरवाज़ा मुक़फ़्फ़ल और मैं
हर क़दम तारीकियाँ हैं हम-रिकाब
अब कोई जुगनू न मिशअल और मैं
है हर इक पल ख़ौफ़ रक़्साँ मौत का
चार-सू है शोर-ए-मक़्तल और मैं
शेर कहना अब 'रईस' आसाँ नहीं
सामने इक चेहरा मोहमल और मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raeesuddin Raees
our suggestion based on Raeesuddin Raees
As you were reading Andhera Shayari Shayari