koi suboot na hoga tumhaare hone ka | कोई सुबूत न होगा तुम्हारे होने का

  - Raeesuddin Raees

koi suboot na hoga tumhaare hone ka
na aaya fan jo qalam khoon mein dubone ka

har ek baat pe bas qahqahe barsate hain
ye tarz kitna niraala hai dil ke rone ka

shuroo tum ne kiya tha tumhein bhugatna hai
jo silsila tha ghalat-fahmiyon ko bone ka

shanaakht ho to gai apne aur paraaye ki
nahin hai gham mujhe umr-e-azeez khone ka

raeis fikr-e-sukhan raat bhar jagati hai
koi bhi waqt mukarrar nahin hai sone ka

कोई सुबूत न होगा तुम्हारे होने का
न आया फ़न जो क़लम ख़ून में डुबोने का

हर एक बात पे बस क़हक़हे बरसते हैं
ये तर्ज़ कितना निराला है दिल के रोने का

शुरू तुम ने किया था तुम्हें भुगतना है
जो सिलसिला था ग़लत-फ़हमियों को बोने का

शनाख़्त हो तो गई अपने और पराए की
नहीं है ग़म मुझे उम्र-ए-अज़ीज़ खोने का

'रईस' फ़िक्र-ए-सुख़न रात भर जगाती है
कोई भी वक़्त मुक़र्रर नहीं है सोने का

  - Raeesuddin Raees

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raeesuddin Raees

As you were reading Shayari by Raeesuddin Raees

Similar Writers

our suggestion based on Raeesuddin Raees

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari