band hai aaj bhi tarseel pe raah-e-alfaaz
main ki mazmoon hoon phir bhi hoon tabaah-e-alfaaz
aaj auraq-navardi hai muqaddar lekin
kal mo'arrikh mujhe thehraayega shaah-e-alfaaz
kaash mafhoom-gazida koi patthar hi mile
sang-zaaron mein bhatkati hai nigah-e-alfaaz
log samjhenge na jaanenge meri baat magar
mere sar aayega phir bhi ye gunaah-e-alfaaz
hoon vo mafhoom jo sharminda-e-tahreer nahin
hai panahon mein meri khud hi panaah-e-alfaaz
bar-sar-e-jang hoon tarseel ke maidaan mein raeis
qaid-e-ibhaam mein hai phir bhi sabaah-e-alfaaz
बंद है आज भी तर्सील पे राह-ए-अल्फ़ाज़
मैं कि मज़मून हूँ फिर भी हूँ तबाह-ए-अल्फ़ाज़
आज औराक़-नवर्दी है मुक़द्दर लेकिन
कल मोअर्रिख़ मुझे ठहराएगा शाह-ए-अलफ़ाज़
काश मफ़हूम-गज़ीदा कोई पत्थर ही मिले
संग-ज़ारों में भटकती है निगाह-ए-अल्फ़ाज़
लोग समझेंगे न जानेंगे मिरी बात मगर
मेरे सर आएगा फिर भी ये गुनाह-ए-अल्फ़ाज़
हूँ वो मफ़्हूम जो शर्मिंदा-ए-तहरीर नहीं
है पनाहों में मिरी ख़ुद ही पनाह-ए-अल्फ़ाज़
बर-सर-ए-जंग हूँ तर्सील के मैदाँ में 'रईस'
क़ैद-ए-इबहाम में है फिर भी सबाह-ए-अल्फ़ाज़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raeesuddin Raees
our suggestion based on Raeesuddin Raees
As you were reading Qismat Shayari Shayari