tamaam shehar mein hai aam kaarobaar-e-hawas
ki chehre chehre pe chaspaan hai ishtihaar-e-hawas
abhi ragon mein hai talkhi-e-e'tibaar-e-hawas
badan mein toot raha hai abhi khumaar-e-hawas
jo chal pade ho to anjaam-e-gumrahi se daro
supurd-e-khaak na kar de ye rahguzar-e-hawas
hawa hai garm na kamre ki khidkiyaan kholo
na jaane shehar mein thehre kahaan ghubaar-e-hawas
firaar khwahish-e-hasti se jab nahin mumkin
nafs ki qaid kahein ya ise hisaar-e-hawas
तमाम शहर में है आम कारोबार-ए-हवस
कि चेहरे चेहरे पे चस्पाँ है इश्तिहार-ए-हवस
अभी रगों में है तल्ख़ी-ए-ए'तिबार-ए-हवस
बदन में टूट रहा है अभी ख़ुमार-ए-हवस
जो चल पड़े हो तो अंजाम-ए-गुमरही से डरो
सुपुर्द-ए-ख़ाक न कर दे ये रहगुज़ार-ए-हवस
हवा है गर्म न कमरे की खिड़कियाँ खोलो
न जाने शहर में ठहरे कहाँ ग़ुबार-ए-हवस
फ़रार ख़्वाहिश-ए-हस्ती से जब नहीं मुमकिन
नफ़स की क़ैद कहें या इसे हिसार-ए-हवस
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raeesuddin Raees
our suggestion based on Raeesuddin Raees
As you were reading Environment Shayari Shayari