safar ye mera ajab imtihaan chahta hai
bala ke habs mein bhi baadbaan chahta hai
vo mera dil nahin meri zabaan chahta hai
mera urdu hai mujhi se amaan chahta hai
hazaar us ko wahi raaste bulaate hain
qadam qadam vo naya aasmaan chahta hai
ajeeb baat hai mujh se mera hi aaina
meri shanaakht ka koi nishaan chahta hai
main khush hoon aaj ki meri ana ka suraj bhi
mere hi jism ka ab saayebaan chahta hai
main us ki baat ki tardid kar to doon lekin
magar vo shakhs to mujh se zabaan chahta hai
सफ़र ये मेरा अजब इम्तिहान चाहता है
बला के हब्स में भी बादबान चाहता है
वो मेरा दिल नहीं मेरी ज़बान चाहता है
मिरा उदू है मुझी से अमान चाहता है
हज़ार उस को वही रास्ते बुलाते हैं
क़दम क़दम वो नया आसमान चाहता है
अजीब बात है मुझ से मिरा ही आईना
मिरी शनाख़्त का कोई निशान चाहता है
मैं ख़ुश हूँ आज कि मेरी अना का सूरज भी
मिरे ही जिस्म का अब साएबान चाहता है
मैं उस की बात की तरदीद कर तो दूँ लेकिन
मगर वो शख़्स तो मुझ से ज़बान चाहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raeesuddin Raees
our suggestion based on Raeesuddin Raees
As you were reading Aahat Shayari Shayari