dilon mein jazba-e-nafrat hai kya kiya jaaye | दिलों में जज़्बा-ए-नफ़रत है क्या किया जाए

  - Rafi Badayuni

dilon mein jazba-e-nafrat hai kya kiya jaaye
zabaan pe da'wa-e-ulfat hai kya kiya jaaye

hazaar qism ke ilzaam sun ke bhi chup hain
hamaara jurm sharaafat hai kya kiya jaaye

na dushmanon se adavat na doston ka lihaaz
isee ka naam sadaqat hai kya kiya jaaye

hamaare seene mein patthar nahin hai ai logo
hamein bhi paas-e-mohabbat hai kya kiya jaaye

dukaan-e-ilm-o-hunar kyun saja na le koi
ye raaz-e-izzat-o-shohrat hai kya kiya jaaye

ye ik khalish ye tajassus ye hasraton ka hujoom
isee se zeest ibaarat hai kya kiya jaaye

badal ke dekhe bhi usloob tishnagi na gai
dil-o-nazar ki hikaayat hai kya kiya jaaye

main khud khuloos se apne bahut pareshaan hoon
ab is ki kis ko zaroorat hai kya kiya jaaye

zamaana-saazi ko duniya hunar kahe lekin
jab is khayal se nafrat hai kya kiya jaaye

दिलों में जज़्बा-ए-नफ़रत है क्या किया जाए
ज़बाँ पे दा'वा-ए-उल्फ़त है क्या किया जाए

हज़ार क़िस्म के इल्ज़ाम सुन के भी चुप हैं
हमारा जुर्म शराफ़त है क्या किया जाए

न दुश्मनों से अदावत न दोस्तों का लिहाज़
इसी का नाम सदाक़त है क्या किया जाए

हमारे सीने में पत्थर नहीं है ऐ लोगो
हमें भी पास-ए-मोहब्बत है क्या किया जाए

दूकान-ए-इल्म-ओ-हुनर क्यों सजा न ले कोई
ये राज़-ए-इज़्ज़त-ओ-शोहरत है क्या किया जाए

ये इक ख़लिश ये तजस्सुस ये हसरतों का हुजूम
इसी से ज़ीस्त इबारत है क्या किया जाए

बदल के देखे भी उस्लूब तिश्नगी न गई
दिल-ओ-नज़र की हिकायत है क्या किया जाए

मैं ख़ुद ख़ुलूस से अपने बहुत परेशाँ हूँ
अब इस की किस को ज़रूरत है क्या किया जाए

ज़माना-साज़ी को दुनिया हुनर कहे लेकिन
जब इस ख़याल से नफ़रत है क्या किया जाए

  - Rafi Badayuni

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafi Badayuni

As you were reading Shayari by Rafi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Rafi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari