khafa hai koi kisi se na koi bad-zan hai
har ek shakhs yahan aap apna dushman hai
kisi gareeb ka ghar hai bas aur kya kahiye
ye mera dil jo sabhi aafaton ka maskan hai
vo zindagi jise khoon-e-jigar diya main ne
vo zindagi to mere naam se bhi bad-zan hai
khuda ka shukr hai gham ki hawaon mein bhi rafi
charaagh-e-zeest bahr-haal aaj raushan hai
ख़फ़ा है कोई किसी से न कोई बद-ज़न है
हर एक शख़्स यहाँ आप अपना दुश्मन है
किसी ग़रीब का घर है बस और क्या कहिए
ये मेरा दिल जो सभी आफ़तों का मस्कन है
वो ज़िंदगी जिसे ख़ून-ए-जिगर दिया मैं ने
वो ज़िंदगी तो मिरे नाम से भी बद-ज़न है
ख़ुदा का शुक्र है ग़म की हवाओं में भी 'रफ़ी'
चराग़-ए-ज़ीस्त बहर-हाल आज रौशन है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafi Badayuni
our suggestion based on Rafi Badayuni
As you were reading Gussa Shayari Shayari