sulook-e-dost se bezaar kya hua hoon main
khayal ye hai bulandi se gir gaya hoon main
badalte waqt ne har cheez ko badal daala
khuloos waisa kahaan hai jo sochta hoon main
mujhe laga hai ki tahleel ho gaya hai vujood
kabhi jab un ke khayaalon mein kho gaya hoon main
mohabbaton ka haseen daur aane waala hai
ye rukh bhi un ki adavat ka dekhta hoon main
mere shu'ur mein maahol ki hai bechaini
nawa-e-waqt hoon ik dard ki sada hoon main
shikaayaton mein ganwaane se us ko kya haasil
zara sa waqt mila hai to aa gaya hoon main
rah-e-hayaat ke har mod par ye lagta hai
fareb-kaar ki baaton mein aa gaya hoon main
ab apni zeest ki taptee hui si raahon par
kisi darakht ke saaye ko dhoondhta hoon main
mujhe ye tarz-e-tajaahul ajeeb lagta hai
vo kah rahe hain kahi aap se mila hoon main
सुलूक-ए-दोस्त से बेज़ार क्या हुआ हूँ मैं
ख़याल ये है बुलंदी से गिर गया हूँ मैं
बदलते वक़्त ने हर चीज़ को बदल डाला
ख़ुलूस वैसा कहाँ है जो सोचता हूँ मैं
मुझे लगा है कि तहलील हो गया है वजूद
कभी जब उन के ख़यालों में खो गया हूँ मैं
मोहब्बतों का हसीं दौर आने वाला है
ये रुख़ भी उन की अदावत का देखता हूँ मैं
मिरे शुऊ'र में माहौल की है बेचैनी
नवा-ए-वक़्त हूँ इक दर्द की सदा हूँ मैं
शिकायतों में गँवाने से उस को क्या हासिल
ज़रा सा वक़्त मिला है तो आ गया हूँ मैं
रह-ए-हयात के हर मोड़ पर ये लगता है
फ़रेब-कार की बातों में आ गया हूँ मैं
अब अपनी ज़ीस्त की तपती हुई सी राहों पर
किसी दरख़्त के साए को ढूँढता हूँ मैं
मुझे ये तर्ज़-ए-तजाहुल अजीब लगता है
वो कह रहे हैं कहीं आप से मिला हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafi Badayuni
our suggestion based on Rafi Badayuni
As you were reading Baaten Shayari Shayari