hisaar-e-zaat se baahar na apne ghar mein hain
ham is zameen ki tarah mustaqil safar mein hain
bhatk rahe hain andhere musafiron ki tarah
ujaale mahv-e-sukoon daaman-e-sehr mein hain
jinhen khabar hi nahin sharh-e-zindagi kya hai
vo mujrimon ki tarah qaid apne ghar mein hain
to e'tibaar-e-shab-e-intizaar hai jaanaan
tire firaq ke mausam meri nazar mein hain
jo be-qaraar hain un ko kahi qaraar nahin
naseeb waale sitaaron ki raahguzaar mein hain
khayal aamad-e-fasl-e-bahaar hai shaayad
jo sust-gaam the vo log bhi safar mein hain
हिसार-ए-ज़ात से बाहर न अपने घर में हैं
हम इस ज़मीं की तरह मुस्तक़िल सफ़र में हैं
भटक रहे हैं अँधेरे मुसाफ़िरों की तरह
उजाले महव-ए-सुकूँ दामन-ए-सहर में हैं
जिन्हें ख़बर ही नहीं शरह-ए-ज़िंदगी क्या है
वो मुजरिमों की तरह क़ैद अपने घर में हैं
तो ए'तिबार-ए-शब-ए-इंतिज़ार है जानाँ
तिरे फ़िराक़ के मौसम मिरी नज़र में हैं
जो बे-क़रार हैं उन को कहीं क़रार नहीं
नसीब वाले सितारों की रहगुज़र में हैं
'ख़याल' आमद-ए-फ़स्ल-ए-बहार है शायद
जो सुस्त-गाम थे वो लोग भी सफ़र में हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Sazaa Shayari Shayari