hijr-zada aankhon se jab aansu nikle khaamoshi se | हिज्र-ज़दा आँखों से जब आँसू निकले ख़ामोशी से

  - Rafique Khayal

hijr-zada aankhon se jab aansu nikle khaamoshi se
kisi ne samjha raat samay do deep jale khaamoshi se

main bhi aag laga saka hoon is barsaat ke mausam mein
thodi door talak vo mere saath chale khaamoshi se

shaam ki dheemi aanch mein jab khurshid naha kar so jaaye
manzar aapas mein milte hain khoob gale khaamoshi se

barf ki parten jab bhi dekhoon main unchi deewaron par
jism sulagne lagta hai aur dil pighle khaamoshi se

chaahat ke phir phool khilenge aap ki ye khush-fahmi hai
kapde mere saamne mausam ne badle khaamoshi se

din ke ujaalon mein shaayad main khud se bichhda rehta hoon
raat ki taarikee mein ik khwaahish machle khaamoshi se

jab bhi na-deeda sapnon ne man aangan mein raqs kiya
teri yaad ke jugnoo chamke raat dhale khaamoshi se

mulk-e-sukhan ke shahzaadon ki saf mein khada ho jaayega
gar tire lehje ki dhadkan khushboo ugle khaamoshi se

हिज्र-ज़दा आँखों से जब आँसू निकले ख़ामोशी से
किसी ने समझा रात समय दो दीप जले ख़ामोशी से

मैं भी आग लगा सकता हूँ इस बरसात के मौसम में
थोड़ी दूर तलक वो मेरे साथ चले ख़ामोशी से

शाम की धीमी आँच में जब ख़ुर्शीद नहा कर सो जाए
मंज़र आपस में मिलते हैं ख़ूब गले ख़ामोशी से

बर्फ़ की परतें जब भी देखूँ मैं ऊँची दीवारों पर
जिस्म सुलगने लगता है और दिल पिघले ख़ामोशी से

चाहत के फिर फूल खिलेंगे आप की ये ख़ुश-फ़हमी है
कपड़े मेरे सामने मौसम ने बदले ख़ामोशी से

दिन के उजालों में शायद मैं ख़ुद से बिछड़ा रहता हूँ
रात की तारीकी में इक ख़्वाहिश मचले ख़ामोशी से

जब भी नादीदा सपनों ने मन आँगन में रक़्स किया
तेरी याद के जुगनू चमके रात ढले ख़ामोशी से

मुल्क-ए-सुख़न के शहज़ादों की सफ़ में खड़ा हो जाएगा
गर तिरे लहजे की धड़कन ख़ुश्बू उगले ख़ामोशी से

  - Rafique Khayal

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafique Khayal

As you were reading Shayari by Rafique Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Rafique Khayal

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari