hai dil mein junoon-khez parastish ka iraada
aise mein munaasib nahin ranjish ka iraada
jalne ko hai taiyyaar mata-e-dil-o-jaan phir
afsos magar sard hai aatish ka iraada
mitti ka gharaunda badi mushkil se bana hai
ai kaash badal de koi baarish ka iraada
yun khul ke sar-e-aam na mil mujh se mere dost
duniya mein hai zinda abhi saazish ka iraada
kashkol mohabbat ki talab phir bhadak utthi
dekha jo b-zid us mein nawaazish ka iraada
us ne bada mohtaath ravayya rakha phir bhi
lehje se jhalakta raha khwaahish ka iraada
us dil ka ilaqa sahi mere liye mamnoo'a
badla na b-har-haal rihaaish ka iraada
hai ma'araka-aara jo khayal aaj b-zaahir
rakhta hai pas-e-taish guzarish ka iraada
है दिल में जुनूँ-ख़ेज़ परस्तिश का इरादा
ऐसे में मुनासिब नहीं रंजिश का इरादा
जलने को है तय्यार मता-ए-दिल-ओ-जाँ फिर
अफ़्सोस मगर सर्द है आतिश का इरादा
मिट्टी का घरौंदा बड़ी मुश्किल से बना है
ऐ काश बदल दे कोई बारिश का इरादा
यूँ खुल के सर-ए-आम न मिल मुझ से मिरे दोस्त
दुनिया में है ज़िंदा अभी साज़िश का इरादा
कश्कोल मोहब्बत की तलब फिर भड़क उट्ठी
देखा जो ब-ज़िद उस में नवाज़िश का इरादा
उस ने बड़ा मोहतात रवय्या रखा फिर भी
लहजे से झलकता रहा ख़्वाहिश का इरादा
उस दिल का इलाक़ा सही मेरे लिए ममनूअ'
बदला न ब-हर-हाल रिहाइश का इरादा
है म'अरका-आरा जो 'ख़याल' आज ब-ज़ाहिर
रखता है पस-ए-तैश गुज़ारिश का इरादा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Sach Shayari Shayari