mohabbaton ki masafat se kat ke dekhte kya | मोहब्बतों की मसाफ़त से कट के देखते क्या

  - Rafique Khayal

mohabbaton ki masafat se kat ke dekhte kya
musafir-e-shab-e-hijraan palat ke dekhte kya

surur-e-ishq mein gum ho gaye the ham dono
hawwa-e-daaman-e-shab se lipt ke dekhte kya

tilism-e-yaar rag o pay mein dhal raha tha ham
nashaat o gham ke sahife ult ke dekhte kya

bahaar-e-nau ko janam de rahi thi vasl ki shab
ham aafiyat ki rutoon mein simat ke dekhte kya

tha sail-e-hasrat-e-dil dushman-e-hayaat magar
rah-e-baqa bhi usi mein thi hat ke dekhte kya

मोहब्बतों की मसाफ़त से कट के देखते क्या
मुसाफ़िर-ए-शब-ए-हिज्राँ पलट के देखते क्या

सुरूर-ए-इश्क़ में गुम हो गए थे हम दोनों
हवा-ए-दामन-ए-शब से लिपट के देखते क्या

तिलिस्म-ए-यार रग ओ पय में ढल रहा था, हम
नशात ओ ग़म के सहीफ़े उलट के देखते क्या

बहार-ए-नौ को जनम दे रही थी वस्ल की शब
हम आफ़ियत की रुतों में सिमट के देखते क्या

था सैल-ए-हसरत-ए-दिल दुश्मन-ए-हयात मगर
रह-ए-बक़ा भी उसी में थी हट के देखते क्या

  - Rafique Khayal

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafique Khayal

As you were reading Shayari by Rafique Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Rafique Khayal

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari