narm lehje mein tahammul se zara baat karo
phir b-sad-shauq sar-e-aam mujhe maat karo
ya nisaar aaj karo mujh pe tamaam apne hunar
ya nazar-band mere saare kamaalaat karo
main rivaayat se baagi to nahin hoon lekin
tum se mumkin ho to tabdeel-e-khayaalaat karo
ek muddat se mere dil ka nagar hai veeraan
aao is dasht pe tum phoolon ki barsaat karo
fasl ujaalon ki siyah-bakht zameen shaahzaadi
zar-nigaar apne zara kashf-o-karamaat karo
is tarah mil ke bichadna to qayamat hoga
mushtail tum na meri jaan mere jazbaat karo
be-niyaazi to mila karti hai duniya se khayal
tum kisi taur na tajdeed-e-gham-e-zaat karo
नर्म लहजे में तहम्मुल से ज़रा बात करो
फिर ब-सद-शौक़ सर-ए-आम मुझे मात करो
या निसार आज करो मुझ पे तमाम अपने हुनर
या नज़र-बंद मिरे सारे कमालात करो
मैं रिवायात से बाग़ी तो नहीं हूँ लेकिन
तुम से मुमकिन हो तो तब्दील-ए-ख़यालात करो
एक मुद्दत से मिरे दिल का नगर है वीराँ
आओ इस दश्त पे तुम फूलों की बरसात करो
फ़स्ल उजालों की सियह-बख़्त ज़मीं उगलेगी
ज़र-निगार अपने ज़रा कश्फ़-ओ-करामात करो
इस तरह मिल के बिछड़ना तो क़यामत होगा
मुश्तइल तुम न मिरी जाँ मिरे जज़्बात करो
बे-नियाज़ी तो मिला करती है दुनिया से 'ख़याल'
तुम किसी तौर न तज्दीद-ए-ग़म-ए-ज़ात करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Sabr Shayari Shayari