udaas shaam ki tanhaaiyon mein jalta hua
vo kaash aaye kabhi mere paas chalta hua
shab-e-firaq ne mismar saare khwaab kiye
koi to muzda sunaaye ye din nikalta hua
hai kya ajab ki kabhi chaand bhi andheron mein
sukoon talash kare zaaviye badalta hua
mere maseeha khuda aaj tera rakhe bharam
nazar mujhe nahin aata ye jee bahalta hua
main raushni ke nagar mein padaav khaak karoon
dara raha hai mujhe apna saaya dhalt hua
उदास शाम की तन्हाइयों में जलता हुआ
वो काश आए कभी मेरे पास चलता हुआ
शब-ए-फ़िराक़ ने मिस्मार सारे ख़्वाब किए
कोई तो मुज़्दा सुनाए ये दिन निकलता हुआ
है क्या अजब कि कभी चाँद भी अँधेरों में
सुकूँ तलाश करे ज़ाविए बदलता हुआ
मिरे मसीहा ख़ुदा आज तेरा रक्खे भरम
नज़र मुझे नहीं आता ये जी बहलता हुआ
मैं रौशनी के नगर में पड़ाव ख़ाक करूँ
डरा रहा है मुझे अपना साया ढलता हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Khafa Shayari Shayari