sannaata chha gaya hai shab-e-gham ki chaap par | सन्नाटा छा गया है शब-ए-ग़म की चाप पर

  - Rafique Khayal

sannaata chha gaya hai shab-e-gham ki chaap par
suraj ko tha yaqeen bahut apne-aap par

vo saika mizaaj hai main sard barf sa
hairat-zada hain log tamaam is milaap par

main hoon fasurda shaam ki afsurdagi hai aur
dhundla sa aks-e-yaar hai yaadon ki bhaap par

main manzilon ki justuju mein tha b-rang-e-mauj
ab raqs kar raha hoon mohabbat ki thaap par

laazim ye pesh-khema-e-aafat hai khayal
beja jama nahin hain parinde alaap par

सन्नाटा छा गया है शब-ए-ग़म की चाप पर
सूरज को था यक़ीन बहुत अपने-आप पर

वो साइक़ा मिज़ाज है मैं सर्द बर्फ़ सा
हैरत-ज़दा हैं लोग तमाम इस मिलाप पर

मैं हूँ फ़सुर्दा शाम की अफ़्सुर्दगी है और
धुँदला सा अक्स-ए-यार है यादों की भाप पर

मैं मंज़िलों की जुस्तुजू में था ब-रंग-ए-मौज
अब रक़्स कर रहा हूँ मोहब्बत की थाप पर

लाज़िम ये पेश-ख़ेमा-ए-आफ़ात है 'ख़याल'
बेजा जमा नहीं हैं परिंदे अलाप पर

  - Rafique Khayal

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafique Khayal

As you were reading Shayari by Rafique Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Rafique Khayal

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari