door tak dasht mein ujaala hai
jaane kis qahar ka hawala hai
phir ugalne lagi hai aag zameen
phir koi qatl hone waala hai
shahr-e-khush-bakht ka makeen hoon magar
gird mere ghamon ka haala hai
dil ne gham ka alaav lafzon mein
kis mahaarat se aaj dhaala hai
jurm sarzad hua tha aadam se
mujh ko jannat se kyun nikala hai
teri ik aarzoo ne logon ko
kis qadar uljhnon mein daala hai
ik saza-yafta-e-ishq ne aaj
mansab-e-ishq phir sambhaala hai
phir khayal'-e-sitam-zada mein koi
khushbu-angez misl-e-lala hai
दूर तक दश्त में उजाला है
जाने किस क़हर का हवाला है
फिर उगलने लगी है आग ज़मीं
फिर कोई क़त्ल होने वाला है
शहर-ए-ख़ुश-बख़्त का मकीं हूँ मगर
गिर्द मेरे ग़मों का हाला है
दिल ने ग़म का अलाव लफ़्ज़ों में
किस महारत से आज ढाला है
जुर्म सरज़द हुआ था आदम से
मुझ को जन्नत से क्यूँ निकाला है
तेरी इक आरज़ू ने लोगों को
किस क़दर उलझनों में डाला है
इक सज़ा-याफ़्ता-ए-इश्क़ ने आज
मंसब-ए-इश्क़ फिर सँभाला है
फिर 'ख़याल'-ए-सितम-ज़दा में कोई
ख़ुश्बू-अंगेज़ मिस्ल-ए-लाला है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Fantasy Shayari Shayari