ye sach hai bahm us ki mohabbat bhi nahin thi | ये सच है बहम उस की मोहब्बत भी नहीं थी

  - Rafique Khayal

ye sach hai bahm us ki mohabbat bhi nahin thi
aur tark maraasim hon ye himmat bhi nahin thi

us shakhs ki ulfat mein girftaar ye dil tha
jis shakhs ko choone ki ijaazat bhi nahin thi

kuchh zakhm-e-tamanna ko na tha shauq-e-mudawa
kuchh us ko masihaai ki aadat bhi nahin thi

the raah-e-mohabbat mein padaav kai laazim
kya kijie rukna meri fitrat bhi nahin thi

jo khwaab-e-shikasta ko ata hausla karti
haasil vo junoon-khez rifaqat bhi nahin thi

har-chand ki afsos bichhadne ka hamein tha
lekin milen ham phir kabhi hasrat bhi nahin thi

vehshat mein charaaghaan mein tire qurb se karta
afsos mayassar ye suhoolat bhi nahin thi

kuchh raaste dushwaar manazil ke the aur kuchh
jazbon mein khayal apne sadaqat bhi nahin thi

ये सच है बहम उस की मोहब्बत भी नहीं थी
और तर्क मरासिम हों ये हिम्मत भी नहीं थी

उस शख़्स की उल्फ़त में गिरफ़्तार ये दिल था
जिस शख़्स को छूने की इजाज़त भी नहीं थी

कुछ ज़ख़्म-ए-तमन्ना को न था शौक़-ए-मुदावा
कुछ उस को मसीहाई की आदत भी नहीं थी

थे राह-ए-मोहब्बत में पड़ाव कई लाज़िम
क्या कीजिए रुकना मिरी फ़ितरत भी नहीं थी

जो ख़्वाब-ए-शिकस्ता को अता हौसला करती
हासिल वो जुनूँ-ख़ेज़ रिफ़ाक़त भी नहीं थी

हर-चंद कि अफ़्सोस बिछड़ने का हमें था
लेकिन मिलें हम फिर कभी हसरत भी नहीं थी

वहशत में चराग़ाँ में तिरे क़ुर्ब से करता
अफ़्सोस मयस्सर ये सुहूलत भी नहीं थी

कुछ रास्ते दुश्वार मनाज़िल के थे और कुछ
जज़्बों में 'ख़याल' अपने सदाक़त भी नहीं थी

  - Rafique Khayal

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafique Khayal

As you were reading Shayari by Rafique Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Rafique Khayal

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari