aaj veeraaniyon mein mera dil naya silsila chahta hai | आज वीरानियों में मिरा दिल नया सिलसिला चाहता है

  - Rafique Khayal

aaj veeraaniyon mein mera dil naya silsila chahta hai
shaam dhalne ko hai zindagi ki khuda aur kya chahta hai

dhoop ki niyyaton mein bharkane lage nafratoin ke alaav
ai ghatta is liye tujh ko mera badan odhna chahta hai

neend ki raahaton se nahin mutmain silsila dhadkano ka
phir dil-e-zaar raanaaiyon mein gundha ratjaga chahta hai

teri nazdeekiyon ko pahan ke main shehzaada lagne laga hoon
choo ke rangeeniyaan ab ke dekhoon tiri jee bada chahta hai

parvarish hauslon ki tamaam umr mere lahu ne khamoshi se ki
ab junoon aks ko dekhne ke liye aaina chahta hai

jo hatheli ki saari puraani lakeeron ko tabdeel kar de
aisa khush-rang har aadmi ab yahan saanehaa chahta hai

tum samundar ke sahme hue josh ko mera paighaam dena
mausam-e-habs mein phir koi aaj taaza hawa chahta hai

umr bhar aansuon se jo dhota raha chehra mahroomiyon ka
vo tiri rahmaton se mere maula ab ke jazaa chahta hai

naaz tha jis ko meri rifaqat ke har lamha-e-mukhtasar par
aaj mehsoos aisa hua hai ki vo fasla chahta hai

आज वीरानियों में मिरा दिल नया सिलसिला चाहता है
शाम ढलने को है ज़िंदगी की ख़ुदा और क्या चाहता है

धूप की निय्यतों में भड़कने लगे नफ़रतों के अलाव
ऐ घटा इस लिए तुझ को मेरा बदन ओढ़ना चाहता है

नींद की राहतों से नहीं मुतमइन सिलसिला धड़कनों का
फिर दिल-ए-ज़ार रानाइयों में गुँधा रतजगा चाहता है

तेरी नज़दीकियों को पहन के मैं शहज़ादा लगने लगा हूँ
छू के रंगीनियाँ अब के देखूँ तिरी जी, बड़ा चाहता है

परवरिश हौसलों की तमाम उम्र मेरे लहू ने ख़मोशी से की
अब जुनूँ अक्स को देखने के लिए आईना चाहता है

जो हथेली की सारी पुरानी लकीरों को तब्दील कर दे
ऐसा ख़ुश-रंग हर आदमी अब यहाँ सानेहा चाहता है

तुम समुंदर के सहमे हुए जोश को मेरा पैग़ाम देना
मौसम-ए-हब्स में फिर कोई आज ताज़ा हवा चाहता है

उम्र भर आँसुओं से जो धोता रहा चेहरा महरूमियों का
वो तिरी रहमतों से मिरे मौला अब के जज़ा चाहता है

नाज़ था जिस को मेरी रिफ़ाक़त के हर लम्हा-ए-मुख़्तसर पर
आज महसूस ऐसा हुआ है कि वो फ़ासला चाहता है

  - Rafique Khayal

Hausla Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafique Khayal

As you were reading Shayari by Rafique Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Rafique Khayal

Similar Moods

As you were reading Hausla Shayari Shayari