tahleel mausamon mein kar ke ajab nasha sa
faila hua hai har-soo kuchh din se rat-jaga sa
milte hain roz un se hasrat ki sarhadon par
rehta hai phir bhi haa'il kyun jaane fasla sa
barson ke sab maraasim tode hain us ne aise
pal bhar mein toot jaaye jis tarah aaina sa
taaza rafaqaton ke pur-kaif silsiloon mein
rehta hai dil na jaane ab kyun dara dara sa
meri bala se chaahat ki laakh baarishen hon
main pehle bhi tha pyaasa main aaj bhi hoon pyaasa
dono mein aaj tak vo pehli si tishnagi hai
phir vasl mein nahin kyun vo lutf ibtida sa
tanhaaiyon ki zad mein rahti hai rooh meri
is vaaste hoon yaaro main aaj kal bujha sa
takra gaye jo un se ham raah mein achaanak
ik dastaan hui phir vo haadsa zara sa
jis par nigaah thehri jaan-e-'khayaal apni
vo ajnabi hai lekin lagta hai aashna sa
तहलील मौसमों में कर के अजब नशा सा
फैला हुआ है हर-सू कुछ दिन से रत-जगा सा
मिलते हैं रोज़ उन से हसरत की सरहदों पर
रहता है फिर भी हाइल क्यूँ जाने फ़ासला सा
बरसों के सब मरासिम तोड़े हैं उस ने ऐसे
पल भर में टूट जाए जिस तरह आइना सा
ताज़ा रफ़ाक़तों के पुर-कैफ़ सिलसिलों में
रहता है दिल न जाने अब क्यूँ डरा डरा सा
मेरी बला से चाहत की लाख बारिशें हों
मैं पहले भी था प्यासा मैं आज भी हूँ प्यासा
दोनों में आज तक वो पहली सी तिश्नगी है
फिर वस्ल में नहीं क्यूँ वो लुत्फ़ इब्तिदा सा
तन्हाइयों की ज़द में रहती है रूह मेरी
इस वास्ते हूँ यारो मैं आज कल बुझा सा
टकरा गए जो उन से हम राह में अचानक
इक दास्ताँ हुई फिर वो हादसा ज़रा सा
जिस पर निगाह ठहरी जान-ए-'ख़याल' अपनी
वो अजनबी है लेकिन लगता है आश्ना सा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Faasla Shayari Shayari