bujhti sham'a ki soorat kyun afsurda khade ho khidki mein | बुझती शम्अ की सूरत क्यूँ अफ़्सुर्दा खड़े हो खिड़की में

  - Rafique Khayal

bujhti sham'a ki soorat kyun afsurda khade ho khidki mein
dekho shaam hai kis darja dilkash is dhoop ki vardi mein

wahm-o-gumaan ke seharaaon mein phool khile tiri yaadon ke
aur charaaghaan door tilak hai saanson ki is waadi mein

qahar-o-ghazab ke mimbar par haathon mein liye kashkol-e-wafa
jhaank raha tha suraj bhi kal ghaur se ek suraahi mein

door khada ho kar main is liye paharon dekhta rehta hoon
qaid bahut si yaadein hain meri is veeraan haveli mein

tahon ki pyaas bhi satah par ab saaf dikhaai deti hai
dhundh rahe hain jaane kya ye baadal neeli chhatri mein

ek hai andesha mujh ko kahi mere mar jaane ke b'ad
bech na den mere ghar waale meri qeemti ghazlein raddi mein

rang aur khushboo ki maanind hai mera saraapa bhi saahib
qaid rakhega aakhir kab tak waqt mujhe yun mutthi mein

bahr-e-mohabbat ke saahil ki sair bahut kar li ham ne
aao zara ab ham bhi dekhen baith ke pyaar ki kashti mein

hirs-o-havas ke saare pujaari ek jagah hain aaj jam'a
waqt ki shaakh pe shaayad koi phool khila hai jaldi mein

बुझती शम्अ की सूरत क्यूँ अफ़्सुर्दा खड़े हो खिड़की में
देखो शाम है किस दर्जा दिलकश इस धूप की वर्दी में

वहम-ओ-गुमाँ के सहराओं में फूल खिले तिरी यादों के
और चराग़ाँ दूर तिलक है साँसों की इस वादी में

क़हर-ओ-ग़ज़ब के मिम्बर पर हाथों में लिए कश्कोल-ए-वफ़ा
झाँक रहा था सूरज भी कल ग़ौर से एक सुराही में

दूर खड़ा हो कर मैं इस लिए पहरों देखता रहता हूँ
क़ैद बहुत सी यादें हैं मिरी इस वीरान हवेली में

तहों की प्यास भी सतह पर अब साफ़ दिखाई देती है
ढूँड रहे हैं जाने क्या ये बादल नीली छतरी में

एक है अंदेशा मुझ को कहीं मेरे मर जाने के ब'अद
बेच न दें मेरे घर वाले मिरी क़ीमती ग़ज़लें रद्दी में

रंग और ख़ुश्बू की मानिंद है मेरा सरापा भी साहिब
क़ैद रखेगा आख़िर कब तक वक़्त मुझे यूँ मुट्ठी में

बहर-ए-मोहब्बत के साहिल की सैर बहुत कर ली हम ने
आओ ज़रा अब हम भी देखें बैठ के प्यार की कश्ती में

हिर्स-ओ-हवस के सारे पुजारी एक जगह हैं आज जम'अ
वक़्त की शाख़ पे शायद कोई फूल खिला है जल्दी में

  - Rafique Khayal

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafique Khayal

As you were reading Shayari by Rafique Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Rafique Khayal

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari