shaam thi ham the aur samundar tha | शाम थी हम थे और समुंदर था

  - Rafique Khayal

shaam thi ham the aur samundar tha
kis qadar dil-fareb manzar tha

ik taraf thi khushi ujaalon ki
ik taraf shaam hone ka dar tha

the pareshaan teer nazaron ke
jab talak dil mera hadf par tha

vo tha kamsin ye sach sahi lekin
hasraton mein mere barabar tha

dil to tha mutmain rifaqat mein
khauf sa dhadkano ke andar tha

apne haathon use ganwaaya hai
jis mein pinhaan mera muqaddar tha

us ki rangeen qurbaton ke sabab
raat jannat-numa mera ghar tha

shahr-e-jaan ki udaas galiyon mein
mushta'il khwahishon ka lashkar tha

shor kamre mein tha qayamat ka
chup ka aalam khayal baahar tha

शाम थी हम थे और समुंदर था
किस क़दर दिल-फ़रेब मंज़र था

इक तरफ़ थी ख़ुशी उजालों की
इक तरफ़ शाम होने का डर था

थे परेशान तीर नज़रों के
जब तलक दिल मिरा हदफ़ पर था

वो था कमसिन ये सच सही लेकिन
हसरतों में मिरे बराबर था

दिल तो था मुतमइन रिफ़ाक़त में
ख़ौफ़ सा धड़कनों के अंदर था

अपने हाथों उसे गँवाया है
जिस में पिन्हाँ मिरा मुक़द्दर था

उस की रंगीन क़ुर्बतों के सबब
रात जन्नत-नुमा मिरा घर था

शहर-ए-जाँ की उदास गलियों में
मुश्तइ'ल ख़्वाहिशों का लश्कर था

शोर कमरे में था क़यामत का
चुप का आलम 'ख़याल' बाहर था

  - Rafique Khayal

Khafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafique Khayal

As you were reading Shayari by Rafique Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Rafique Khayal

Similar Moods

As you were reading Khafa Shayari Shayari