raqs-e-nairangi hai nazzaaron ke beech
jee raha hoon shobda-kaaron ke beech
ek duniya ko hai loot jaane ka dar
ek ham hain loot gaye yaaron ke beech
shikwa-e-jaur-o-jafaa kis se karoon
pyaar se mahroom hoon pyaaron ke beech
mulk-o-millat qaum-o-mazhab dosto
kya nahin bikta khareedaron ke beech
azmat-e-hawwa ka ik aur aaina
ho gaya neelaam bazaaron ke beech
asl rishta to zameen se hai mera
yaad aaya mujh ko sayyaaron ke beech
shauq-e-khud-aaraai ke haathon hua
ik hayoola qaid deewaron ke beech
ya-ilaahi rehm karna aaj vo
aa gaye chal ke talab-gaaron ke beech
mere dam se hi hui hai raushni
dasht-o-sehra aur kohsaaron ke beech
ai bahaar-e-abr-e-nau jaldi baras
jal rahe hain khwaab angaaron ke beech
mujh mein hai maujood parvaaz-e-'khayal
mo'tabar hoon main bhi fankaaron ke beech
रक़्स-ए-नैरंगी है नज़्ज़ारों के बीच
जी रहा हूँ शोबदा-कारों के बीच
एक दुनिया को है लुट जाने का डर
एक हम हैं लुट गए यारों के बीच
शिकवा-ए-जौर-ओ-जफ़ा किस से करूँ
प्यार से महरूम हूँ प्यारों के बीच
मुल्क-ओ-मिल्लत क़ौम-ओ-मज़हब दोस्तो
क्या नहीं बिकता ख़रीदारों के बीच
अज़्मत-ए-हव्वा का इक और आइना
हो गया नीलाम बाज़ारों के बीच
अस्ल रिश्ता तो ज़मीं से है मिरा
याद आया मुझ को सय्यारों के बीच
शौक़-ए-ख़ुद-आराई के हाथों हुआ
इक हयूला क़ैद दीवारों के बीच
या-इलाही रहम करना आज वो
आ गए चल के तलब-गारों के बीच
मेरे दम से ही हुई है रौशनी
दश्त-ओ-सहरा और कोहसारों के बीच
ऐ बहार-ए-अब्र-ए-नौ जल्दी बरस
जल रहे हैं ख़्वाब अँगारों के बीच
मुझ में है मौजूद पर्वाज़-ए-'ख़याल'
मो'तबर हूँ मैं भी फ़नकारों के बीच
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Promise Shayari Shayari