khud ko pa-basta-e-zanjeer kiye ja chup-chaap
khwaab sharminda-e-taabeer kiye ja chup-chaap
khaama-e-ranj-o-alam se rukh-e-kam-maaegi par
nusrat-e-javedaan tahreer kiye ja chup-chaap
ye amal baa'is-e-taskin-e-junoon bhi hoga
jazba-e-ishq ki ta'aamir kiye ja chup-chaap
gham-e-dauraan ki aziyyat bhi to dil sahta hai
gham-e-jaanaan ko bhi jaageer kiye ja chup-chaap
zakham gehre to b-zid shauq mere karta raha
us masihaai ki tadbeer kiye ja chup-chaap
maqsad-e-zindagi khulta hi chala jaayega
apne dil mein use tasveer kiye ja chup-chaap
shaay'ri se hai khayal us ko shagaf sher'on mein
apne jazbaat ko taskheer kiye ja chup-chaap
ख़ुद को पा-बस्ता-ए-ज़ंजीर किए जा चुप-चाप
ख़्वाब शर्मिंदा-ए-ताबीर किए जा चुप-चाप
ख़ामा-ए-रंज-ओ-अलम से रुख़-ए-कम-माएगी पर
नुसरत-ए-जावेदाँ तहरीर किए जा चुप-चाप
ये अमल बाइ'स-ए-तस्कीन-ए-जुनूँ भी होगा
जज़्बा-ए-इश्क़ की ता'मीर किए जा चुप-चाप
ग़म-ए-दौराँ की अज़िय्यत भी तो दिल सहता है
ग़म-ए-जानाँ को भी जागीर किए जा चुप-चाप
ज़ख़्म गहरे तो ब-ज़िद शौक़ मिरे करता रहा
उस मसीहाई की तदबीर किए जा चुप-चाप
मक़्सद-ए-ज़िंदगी खुलता ही चला जाएगा
अपने दिल में उसे तस्वीर किए जा चुप-चाप
शाइ'री से है 'ख़याल' उस को शग़फ़ शे'रों में
अपने जज़्बात को तस्ख़ीर किए जा चुप-चाप
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari