baithe baithe koi khayal aaya
zinda rahne ka phir sawaal aaya
kaun daryaon ka hisaab rakhe
nekiyaan nekiyon mein daal aaya
zindagi kis tarah guzaarte hain
zindagi bhar na ye kamaal aaya
jhooth bola hai koi aaina
warna patthar mein kaise baal aaya
vo jo do-gaz zameen thi mere naam
aasmaan ki taraf uchaal aaya
kyun ye sailaab sa hai aankhon mein
muskuraaye the ham-khayaal aaya
बैठे बैठे कोई ख़याल आया
ज़िंदा रहने का फिर सवाल आया
कौन दरियाओं का हिसाब रखे
नेकियाँ नेकियों में डाल आया
ज़िंदगी किस तरह गुज़ारते हैं
ज़िंदगी भर न ये कमाल आया
झूट बोला है कोई आईना
वर्ना पत्थर में कैसे बाल आया
वो जो दो-गज़ ज़मीं थी मेरे नाम
आसमाँ की तरफ़ उछाल आया
क्यूँ ये सैलाब सा है आँखों में
मुस्कुराए थे हम-ख़याल आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Dhokha Shayari Shayari