hirs ke baab mein yun khud ko tumhaara kar ke
haath malta hoon main apna hi khasaara kar ke
ab mere zehan mein bas lazzat-e-duniya hai ravaan
thak chuka hoon tiri ulfat pe guzaara kar ke
ham abhi sohbat-e-duniya mein hain masroof magar
koi shab tum ko bhi dekhenge gawara kar ke
ham se khaamosh tabeeyat bhi hain duniya mein ki jo
us ko hi chahte hain us se kinaara kar ke
der tak koi na tha raah bataane waala
aur phir le gai ik mauj ishaara kar ke
हिर्स के बाब में यूँ ख़ुद को तुम्हारा कर के
हाथ मलता हूँ मैं अपना ही ख़सारा कर के
अब मिरे ज़ेहन में बस लज़्ज़त-ए-दुनिया है रवाँ
थक चुका हूँ तिरी उल्फ़त पे गुज़ारा कर के
हम अभी सोहबत-ए-दुनिया में हैं मसरूफ़ मगर
कोई शब तुम को भी देखेंगे गवारा कर के
हम से ख़ामोश तबीअत भी हैं दुनिया में कि जो
उस को ही चाहते हैं उस से किनारा कर के
देर तक कोई न था राह बताने वाला
और फिर ले गई इक मौज इशारा कर के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahul Jha
our suggestion based on Rahul Jha
As you were reading Yaad Shayari Shayari