chal tere bas mein nahin tu yaad aana chhod de
vaise tere haq mein hoga gar rulaana chhod de
baat abki baar mere roothne kii thi magar
tujhse ye kisne kaha mujhko manana chhod de
paas baitho haal poocho aur phir saaya karo
aadmi jab chhoti-moti chot khaana chhod de
maine hi ghamkhwaar se jab koii dukh baanta nahin
phir bhala kyun vo bhi mera dil dukhaana chhod de
saunp di hai mujhko jab tune meri ye zindagi
meri bhi ab iltijaa hai haq jataana chhod de
phir tere us dost ne ik aur ko dhokha diya
kam se kam rajneesh ab to sar uthaana chhod de
चल तेरे बस में नहीं तू याद आना छोड़ दे
वैसे तेरे हक़ में होगा गर रुलाना छोड़ दे
बात अबकी बार मेरे रूठने की थी मगर
तुझसे ये किसने कहा मुझको मनाना छोड़ दे
पास बैठो हाल पूछो और फिर साया करो
आदमी जब छोटी-मोटी चोट खाना छोड़ दे
मैंने ही ग़मख़्वार से जब कोई दुख बाँटा नहीं
फिर भला क्यूँ वो भी मेरा दिल दुखाना छोड़ दे
सौंप दी है मुझको जब तूने मेरी ये जिंदगी
मेरी भी अब इल्तिजा है हक़ जताना छोड़ दे
फिर तेरे उस दोस्त ने इक और को धोखा दिया
कम से कम 'रजनीश' अब तो सर उठाना छोड़ दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
our suggestion based on Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
As you were reading Bewafai Shayari Shayari