khwaab us ke hain jo chura le jaaye
neend us ki hai jo uda le jaaye
zulf us ki hai jo use choo le
baat us ki hai jo bana le jaaye
teg us ki hai shaakh-e-gul us ki
jo use kheenchta hua le jaaye
us se kehna ki kya nahin us paas
phir bhi darvesh ki dua le jaaye
zakham ho to koi duhaai de
teer ho to koi utha le jaaye
qarz ho to koi ada kar de
haath ho to koi chhuda le jaaye
lau diye ki nigaah mein rakhna
jaane kis samt raasta le jaaye
dil mein aabaad hain jo sadiyon se
un buton ko kahaan khuda le jaaye
kab na jaane ubal pade chashma
kab ye sehra mujhe baha le jaaye
khwaab aisa ki dekhte rahiye
yaad aisi ki hafiza le jaaye
main ghareeb-ud-dayaar mera kya
mauj le jaaye ya hawa le jaaye
khaak hona hi jab muqaddar hai
ab jahaan bakht-e-na-rasa le jaaye
ख़्वाब उस के हैं जो चुरा ले जाए
नींद उस की है जो उड़ा ले जाए
ज़ुल्फ़ उस की है जो उसे छू ले
बात उस की है जो बना ले जाए
तेग़ उस की है शाख़-ए-गुल उस की
जो उसे खींचता हुआ ले जाए
उस से कहना कि क्या नहीं उस पास
फिर भी दरवेश की दुआ ले जाए
ज़ख़्म हो तो कोई दुहाई दे
तीर हो तो कोई उठा ले जाए
क़र्ज़ हो तो कोई अदा कर दे
हाथ हो तो कोई छुड़ा ले जाए
लौ दिए की निगाह में रखना
जाने किस सम्त रास्ता ले जाए
दिल में आबाद हैं जो सदियों से
उन बुतों को कहाँ ख़ुदा ले जाए
कब न जाने उबल पड़े चश्मा
कब ये सहरा मुझे बहा ले जाए
ख़्वाब ऐसा कि देखते रहिए
याद ऐसी कि हाफ़िज़ा ले जाए
मैं ग़रीब-उद-दयार मेरा क्या
मौज ले जाए या हवा ले जाए
ख़ाक होना ही जब मुक़द्दर है
अब जहाँ बख़्त-ए-ना-रसा ले जाए
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Rasa Chughtai
As you were reading I Miss you Shayari Shayari