hamein apni ghazal se dard-o-gham tujh ko sunaana hai | हमें अपनी ग़ज़ल से दर्द-ओ-ग़म तुझ को सुनाना है

  - Raunak Karn

hamein apni ghazal se dard-o-gham tujh ko sunaana hai
bata de dil tujhe kitna abhi ham ko rulaana hai

jo tha chhota hamesha se sabhi logon se is ghar mein
sabhi se ab bada hai vo sabhi se vo sayaana hai

kahin bhi vo chale jaayen hamein ab chhod kar tanhaa
unhin ke gham mein hamko yaar ab peena pilaana hai

nahin hai gham nahin takleef ab yaara bina tere
bata kar sach tujhe phir se mujhe dil mein bulaana hai

bagaavat kar nahin sakte ameeri jaan le legi
ghareebi kah rahi hai naam ab tujhko kamaana hai

हमें अपनी ग़ज़ल से दर्द-ओ-ग़म तुझ को सुनाना है
बता दे दिल तुझे कितना अभी हम को रुलाना है

जो था छोटा हमेशा से सभी लोगों से इस घर में
सभी से अब बड़ा है वो सभी से वो सयाना है

कहीं भी वो चले जाएँ हमें अब छोड़ कर तन्हा
उन्हीं के ग़म में हमको यार अब पीना पिलाना है

नहीं है ग़म नहीं तकलीफ़ अब यारा बिना तेरे
बता कर सच तुझे फिर से मुझे दिल में बुलाना है

बग़ावत कर नहीं सकते अमीरी जान ले लेगी
ग़रीबी कह रही है नाम अब तुझको कमाना है

  - Raunak Karn

Majboori Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raunak Karn

As you were reading Shayari by Raunak Karn

Similar Writers

our suggestion based on Raunak Karn

Similar Moods

As you were reading Majboori Shayari Shayari