kaun marta hai zindagi ke liye
jee raha hoon tiri khushi ke liye
ye mohabbat nahin to phir kya hai
aadmi tadpe aadmi ke liye
dekhiye kya hai shaam-e-gham ka haal
koi be-taab hai kisi ke liye
kabhi ham ne jo khwaab dekha tha
dil machalta hai phir usi ke liye
gham-e-jaanaan gham-e-jahaan gham-e-zaat
laakh gham ek aadmi ke liye
thi kise intizaar ki mohlat
phir bhi tadpa hai dil kisi ke liye
hai taqaaza-e-zindagi ki nazeer
gham uthaate hain sab khushi ke liye
कौन मरता है ज़िंदगी के लिए
जी रहा हूँ तिरी ख़ुशी के लिए
ये मोहब्बत नहीं तो फिर क्या है
आदमी तड़पे आदमी के लिए
देखिए क्या है शाम-ए-ग़म का हाल
कोई बे-ताब है किसी के लिए
कभी हम ने जो ख़्वाब देखा था
दिल मचलता है फिर उसी के लिए
ग़म-ए-जानाँ ग़म-ए-जहाँ ग़म-ए-ज़ात
लाख ग़म एक आदमी के लिए
थी किसे इंतिज़ार की मोहलत
फिर भी तड़पा है दिल किसी के लिए
है तक़ाज़ा-ए-ज़िंदगी कि 'नज़ीर'
ग़म उठाते हैं सब ख़ुशी के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saadat Nazeer
our suggestion based on Saadat Nazeer
As you were reading Fantasy Shayari Shayari