bahaar thi na chaman tha na aashiyana tha | बहार थी न चमन था न आशियाना था

  - Saadat Nazeer

bahaar thi na chaman tha na aashiyana tha
ajeeb rang mein guzra hua zamaana tha

b-faiz-e-khoon-e-jigar ab vo ho raha hai chaman
kabhi jo mere muqaddar se qaid-khaana tha

hudood-e-kaun-o-makaan mein bhi jo samaa na saka
meri hayaat ka vo mukhtasar fasana tha

nazar mein dair-o-haram the ki main samajh na saka
jahaan jhuki thi jabeen un ka aastaana tha

bas itna yaad hai mujh ko ki barq chamki thi
phir us ke baad chaman tha na aashiyana tha

fareb-e-husn mein aaye to ye hua maaloom
jahaan mein ek yahi zeest ka bahaana tha

junoon-e-shauq ka ik ye bhi mo'jiza hai nazeer
wahi hai aaj haqeeqat jo kal fasana tha

बहार थी न चमन था न आशियाना था
अजीब रंग में गुज़रा हुआ ज़माना था

ब-फ़ैज़-ए-ख़ून-ए-जिगर अब वो हो रहा है चमन
कभी जो मेरे मुक़द्दर से क़ैद-ख़ाना था

हुदूद-ए-कौन-ओ-मकाँ में भी जो समा न सका
मिरी हयात का वो मुख़्तसर फ़साना था

नज़र में दैर-ओ-हरम थे कि मैं समझ न सका
जहाँ झुकी थी जबीं उन का आस्ताना था

बस इतना याद है मुझ को कि बर्क़ चमकी थी
फिर उस के बाद चमन था न आशियाना था

फ़रेब-ए-हुस्न में आए तो ये हुआ मालूम
जहाँ में एक यही ज़ीस्त का बहाना था

जुनून-ए-शौक़ का इक ये भी मो'जिज़ा है 'नज़ीर'
वही है आज हक़ीक़त जो कल फ़साना था

  - Saadat Nazeer

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saadat Nazeer

As you were reading Shayari by Saadat Nazeer

Similar Writers

our suggestion based on Saadat Nazeer

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari