hosh-o-khird se door hoon sood-o-ziyaan se door | होश-ओ-ख़िरद से दूर हूँ सूद-ओ-ज़ियाँ से दूर

  - Saba Afghani

hosh-o-khird se door hoon sood-o-ziyaan se door
deewaana hoon quyood-e-rusoom-e-jahaan se door

hadd-e-nazar se door zamaan-o-makaan se door
manzil hai mere ishq ki fahm-o-gumaan se door

rangeeni-e-jamaal se sehra bhi hai chaman
baitha hoon gulsitaan mein magar gulsitaan se door

ye be-khudi-e-shauq ka aalam to dekhiye
sajde to kar raha hoon magar aastaan se door

dil bhi wahi hai main bhi wahi dard bhi wahi
lekin ye kya ki lazzat-e-soz-e-nihaan se door

shaayad usi ka naam hai naakaami-e-muraad
manzil se hoon qareeb magar kaarwaan se door

afsaana-e-hayaat ko samjho to ai saba
har harf dastaan hai magar dastaan se door

होश-ओ-ख़िरद से दूर हूँ सूद-ओ-ज़ियाँ से दूर
दीवाना हूँ क़ुयूद-ए-रुसूम-ए-जहाँ से दूर

हद्द-ए-नज़र से दूर ज़मान-ओ-मकाँ से दूर
मंज़िल है मेरे इश्क़ की फ़हम-ओ-गुमाँ से दूर

रंगीनी-ए-जमाल से सहरा भी है चमन
बैठा हूँ गुल्सिताँ में मगर गुल्सिताँ से दूर

ये बे-ख़ुदी-ए-शौक़ का आलम तो देखिए
सज्दे तो कर रहा हूँ मगर आस्ताँ से दूर

दिल भी वही है मैं भी वही दर्द भी वही
लेकिन ये क्या कि लज़्ज़त-ए-सोज़-ए-निहाँ से दूर

शायद उसी का नाम है नाकामी-ए-मुराद
मंज़िल से हूँ क़रीब मगर कारवाँ से दूर

अफ़्साना-ए-हयात को समझो तो ऐ 'सबा'
हर हर्फ़ दास्ताँ है मगर दास्ताँ से दूर

  - Saba Afghani

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Afghani

As you were reading Shayari by Saba Afghani

Similar Writers

our suggestion based on Saba Afghani

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari