yahi faqat meri zindagi hai
tiri itaa'at hi bandagi hai
vo aaj sair-e-chaman ko aaye
gulon ke chehron pe taazgi hai
ye un ki zarra-nawaaziyaan hain
jo dil ki basti mein teergi hai
jo main ne poocha wafa ka matlab
vo hans ke bole divaangi hai
ye un ka dast-e-karam hai mujh par
jo baat ab tak bani hui hai
ye zakhm-e-dil ki dava hai yaaron
saba ki jo sher-o-shaayari hai
यही फ़क़त मेरी ज़िंदगी है
तिरी इताअ'त ही बंदगी है
वो आज सैर-ए-चमन को आए
गुलों के चेहरों पे ताज़गी है
ये उन की ज़र्रा-नवाज़ियाँ हैं
जो दिल की बस्ती में तीरगी है
जो मैं ने पूछा वफ़ा का मतलब
वो हँस के बोले दिवानगी है
ये उन का दस्त-ए-करम है मुझ पर
जो बात अब तक बनी हुई है
ये ज़ख़्म-ए-दिल की दवा है यारों
'सबा' की जो शेर-ओ-शायरी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saba Azeez
our suggestion based on Saba Azeez
As you were reading Life Shayari Shayari