kis ko bataate kis se chhupaate suraagh-e-dil
chup saadh li hai zakham dikhaaya na daag-e-dil
kaise karein bayaan gham-e-jaan ki dastaan
ai kaash gul khilaaye hamaara ye baagh-e-dil
guzre hamaari zeest ke ayyaam is tarah
labreiz aansuon se hai goya ayaagh-e-dil
jab raakh ban gaye to kaha ye hareef ne
jal jal ke vo jalate rahe hain charaagh-e-dil
jis se mile taveel zamaana guzar gaya
shaayad usi ke zehan mein ho kuchh suraagh-e-dil
chaahat ki ab to koi bhi hasrat nahin rahi
sarsabz us ki yaad se phir bhi hai baagh-e-dil
rakhti nahin sabeela kabhi aib par nazar
masroof pyaar mein raha is ka faraagh-e-dil
किस को बताते किस से छुपाते सुराग़-ए-दिल
चुप साध ली है ज़ख़्म दिखाया न दाग़-ए-दिल
कैसे करें बयान ग़म-ए-जाँ की दास्ताँ
ऐ काश गुल खिलाए हमारा ये बाग़-ए-दिल
गुज़रे हमारी ज़ीस्त के अय्याम इस तरह
लबरेज़ आँसुओं से है गोया अयाग़-ए-दिल
जब राख बन गए तो कहा ये हरीफ़ ने
जल जल के वो जलाते रहे हैं चराग़-ए-दिल
जिस से मिले तवील ज़माना गुज़र गया
शायद उसी के ज़ेहन में हो कुछ सुराग़-ए-दिल
चाहत की अब तो कोई भी हसरत नहीं रही
सरसब्ज़ उस की याद से फिर भी है बाग़-ए-दिल
रखती नहीं 'सबीला' कभी ऐब पर नज़र
मसरूफ़ प्यार में रहा इस का फ़राग़-ए-दिल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabeela Inam Siddiqui
our suggestion based on Sabeela Inam Siddiqui
As you were reading Hasrat Shayari Shayari